nahin maatam karega koi bhaai is december mein | नहीं मातम करेगा कोई भाई इस दिसम्बर में - KUNAL

nahin maatam karega koi bhaai is december mein
bahaarein aayi hain sardi na aayi is december mein

abhi jodo abhi baaki mahina ek poora hai
ghamon ki aur karne hai kamaai is december mein

dukhon ko thoons kar bhar lo piro lo ik razaai mein
wahi phir odh kar sona razaai is december mein

nahin ummeed bachne ki laga hai rog vo mujhko
tumhein ho saal agle ki badhaai is december mein

ikatthe saal ke tohfe kisi ne kar ke aangan mein
phir us ne aag kamre ko lagaaee is december mein

abhi to pehli manzil thi abhi se dar gaye tum to
abhi baaki hai honi jag hansaai is december mein

bada hi laad karta hoon teri yaadon se main jaanam
nahin hogi abhi inki rihaai is december mein

tha ik vo daur baanhe june thi jab us december mein
hai ik ye daur aankhon mein julaai is december mein

nibha do jaise taise saal bas poora hai hone ko
karo kyun jaate jaate be-wafaai is december mein

sabhi toote dilon ko band kamre mein kiya aur phir
sabhi ko baari baari ram pilaai is december mein

नहीं मातम करेगा कोई भाई इस दिसम्बर में
बहारें आई हैं सर्दी न आई इस दिसम्बर में

अभी जोड़ो अभी बाक़ी महीना एक पूरा है
ग़मों की और करनी है कमाई इस दिसम्बर में

दुखों को ठूँस कर भर लो पिरो लो इक रज़ाई में
वही फिर ओढ़ कर सोना रज़ाई इस दिसम्बर में

नहीं उम्मीद बचने की लगा है रोग वो मुझको
तुम्हें हो साल अगले की बधाई इस दिसम्बर में

इकट्ठे साल के तोहफ़े किसी ने कर के आँगन में
फिर उस ने आग कमरे को लगाई इस दिसम्बर में

अभी तो पहली मंज़िल थी अभी से डर गए तुम तो
अभी बाक़ी है होनी जग हँसाई इस दिसम्बर में

बड़ा ही लाड़ करता हूँ तेरी यादों से मैं जानम
नहीं होगी अभी इनकी रिहाई इस दिसम्बर में

था इक वो दौर बाँहें जून थी जब उस दिसम्बर में
है इक ये दौर आँखों में जुलाई इस दिसम्बर में

निभा दो जैसे तैसे साल बस पूरा है होने को
करो क्यूँ जाते जाते बे-वफ़ाई इस दिसम्बर में

सभी टूटे दिलों को बंद कमरे में किया और फिर
सभी को बारी बारी रम पिलाई इस दिसम्बर में

- KUNAL
3 Likes

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari