zeest se ho gaye bezaar koii baat nahin
khudkushi baithi hai taiyaar koii baat nahin
peeth par vaar hua gar meri to gham kaisa
maine bhi maari thi talwaar koii baat nahin
der tak sabz rahenge to bikenge bhi zaroor
ab talak dheema hai bazaar koii baat nahin
uska koii bhi nahin haath pakadne waala
badh gai isliye raftaar koii baat nahin
main bazaahir hoon ki mujhko bhi koii chahega
tumne gar kar diya inkaar koii baat nahin
log aate hain magar phir se bichhad jaate hain
geet rehta hai par fankaar koii baat nahin
ham pe guzare jo kabhi ranj to har baar kaha
ho gaya chhodo chalo yaar koii baat nahin
ज़ीस्त से हो गए बेज़ार कोई बात नहीं
ख़ुदकुशी बैठी है तैयार कोई बात नहीं
पीठ पर वार हुआ गर मिरी तो ग़म कैसा
मैंने भी मारी थी तलवार कोई बात नहीं
देर तक सब्ज़ रहेंगे तो बिकेंगे भी ज़रूर
अब तलक धीमा है बाज़ार कोई बात नहीं
उसका कोई भी नहीं हाथ पकड़ने वाला
बढ़ गई इसलिए रफ़्तार कोई बात नहीं
मैं बज़ाहिर हूँ कि मुझको भी कोई चाहेगा
तुमने गर कर दिया इंकार कोई बात नहीं
लोग आते हैं मगर फिर से बिछड़ जाते हैं
गीत रहता है पर फ़नकार कोई बात नहीं
हम पे गुज़रे जो कभी रंज तो हर बार कहा
हो गया छोड़ो चलो यार कोई बात नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lalit Pandey
our suggestion based on Lalit Pandey
As you were reading Gham Shayari Shayari