asiroon ka ajab kuchh haal ye sayyaad karte hain
kabhi dil shaad karte hain kabhi naashaad karte hain
jinhen dil mein basaaya tha jinhen ham yaad karte hain
hamaare dil ki duniya ko wahi barbaad karte hain
hamaari yaad to dil se bhula rakhi thi muddat se
na jaane kis liye ham ko vo phir se yaad karte hain
sitam bhi hai karam un ka samajh kar kuchh yahi dil mein
jahaan-e-ishq ko ham shauq se aabaad karte hain
hamaare qasr-e-dil ko dhaa rahe ho kuchh khabar bhi hai
use barbaad karte ho jise aabaad karte hain
zameen-o-aasman rote hain lekin vo nahin rote
tadap kar shiddat-e-gham se jo ham fariyaad karte hain
qamar be-noor hota hai sitaare maand padte hain
rukh-e-raushan ko us ke ham jo naazi yaad karte hain
असीरों का अजब कुछ हाल ये सय्याद करते हैं
कभी दिल शाद करते हैं कभी नाशाद करते हैं
जिन्हें दिल में बसाया था जिन्हें हम याद करते हैं
हमारे दिल की दुनिया को वही बर्बाद करते हैं
हमारी याद तो दिल से भुला रक्खी थी मुद्दत से
न जाने किस लिए हम को वो फिर से याद करते हैं
सितम भी है करम उन का समझ कर कुछ यही दिल में
जहान-ए-इश्क़ को हम शौक़ से आबाद करते हैं
हमारे क़स्र-ए-दिल को ढा रहे हो कुछ ख़बर भी है
उसे बर्बाद करते हो जिसे आबाद करते हैं
ज़मीन-ओ-आसमाँ रोते हैं लेकिन वो नहीं रोते
तड़प कर शिद्दत-ए-ग़म से जो हम फ़रियाद करते हैं
क़मर बे-नूर होता है सितारे माँद पड़ते हैं
रुख़-ए-रौशन को उस के हम जो 'नाज़ी' याद करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Nazi
our suggestion based on Lateef Nazi
As you were reading Broken Shayari Shayari