gham-e-jaanaan ayaan na ho jaaye
zindagi raayegaan na ho jaaye
tu nazar hi na aa khuda ke liye
phir tamannaa jawaan na ho jaaye
dil jo jalta hai teri furqat mein
ye dhuaan aasmaan na ho jaaye
mit na jaaye ye chaashni gham ki
ham pe vo meherbaan na ho jaaye
guftugoo mein ho ehtiyaat tujhe
raaz dil ka ayaan na ho jaaye
kar raha hai muqaabla dushman
ya khuda kaamraan na ho jaaye
kyun haseenon se milte ho naazi
vo kahi bad-gumaan na ho jaaye
ग़म-ए-जानाँ अयाँ न हो जाए
ज़िंदगी राएगाँ न हो जाए
तू नज़र ही न आ ख़ुदा के लिए
फिर तमन्ना जवाँ न हो जाए
दिल जो जलता है तेरी फ़ुर्क़त में
ये धुआँ आसमाँ न हो जाए
मिट न जाए ये चाशनी ग़म की
हम पे वो मेहरबाँ न हो जाए
गुफ़्तुगू में हो एहतियात तुझे
राज़ दिल का अयाँ न हो जाए
कर रहा है मुक़ाबला दुश्मन
या ख़ुदा कामराँ न हो जाए
क्यों हसीनों से मिलते हो 'नाज़ी'
वो कहीं बद-गुमाँ न हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Nazi
our suggestion based on Lateef Nazi
As you were reading Dushmani Shayari Shayari