kya shab-e-gham meri basar na hui
tum na aaye to kya sehar na hui
shaam-e-gham ki kabhi sehar na hui
jo dua ki vo kaargar na hui
shab-e-furqat taveel thi jitni
aur koi raat is qadar na hui
thi nigah-e-karam raqeebon par
umr bhar vo kabhi idhar na hui
kya kahoon apni na-muraadi-e-dil
ki mohabbat bhi mo'tabar na hui
meri barbaadiyon ke qisson par
kab zamaane ki aankh tar na hui
shab-e-wa'da vo aa gaye naazi
shukr hai kuchh agar-magar na hui
क्या शब-ए-ग़म मिरी बसर न हुई
तुम न आए तो क्या सहर न हुई
शाम-ए-ग़म की कभी सहर न हुई
जो दुआ की वो कारगर न हुई
शब-ए-फ़ुर्क़त तवील थी जितनी
और कोई रात इस क़दर न हुई
थी निगाह-ए-करम रक़ीबों पर
उम्र भर वो कभी इधर न हुई
क्या कहूँ अपनी ना-मुरादी-ए-दिल
कि मोहब्बत भी मो'तबर न हुई
मिरी बर्बादियों के क़िस्सों पर
कब ज़माने की आँख तर न हुई
शब-ए-वा'दा वो आ गए 'नाज़ी'
शुक्र है कुछ अगर-मगर न हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Nazi
our suggestion based on Lateef Nazi
As you were reading Andhera Shayari Shayari