dost milte rahe manzil pe guzar hone tak
koi saathi na raha khatm-e-safar hone tak
ya-ilaahi mujhe taufeeq ata kar aisi
har buraai se bachoon umr basar hone tak
khaak hone se bachaaya na kisi ke ghar ko
dekhte rah gaye sab nazr-e-sharar hone tak
gidgidao ki khuda rehm pe maail ho jaaye
maangte jaao duaon mein asar hone tak
aankh nam-naak dam-e-sard labon par naazi
kis tarah sabr karoon khoon-e-jigar hone tak
दोस्त मिलते रहे मंज़िल पे गुज़र होने तक
कोई साथी न रहा ख़त्म-ए-सफ़र होने तक
या-इलाही मुझे तौफ़ीक़ अता कर ऐसी
हर बुराई से बचूँ उम्र बसर होने तक
ख़ाक होने से बचाया न किसी के घर को
देखते रह गए सब नज़्र-ए-शरर होने तक
गिड़गिड़ाओ कि ख़ुदा रहम पे माइल हो जाए
माँगते जाओ दुआओं में असर होने तक
आँख नम-नाक दम-ए-सर्द लबों पर 'नाज़ी'
किस तरह सब्र करूँ ख़ून-ए-जिगर होने तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Nazi
our suggestion based on Lateef Nazi
As you were reading Budhapa Shayari Shayari