yahan ghamon ki hai bohataat aur khushi kam hai | यहाँ ग़मों की है बोहतात और ख़ुशी कम है

  - M. I. Sajid

yahan ghamon ki hai bohataat aur khushi kam hai
chale bhi aao ki apni bhi zindagi kam hai

zara si der thehar jaao jugnuon aa kar
hamaare ghar mein charaagon ki raushni kam hai

nikal chuke ho jo ghar se kahi thehar jaao
hamaare shehar mein amn-o-amaan abhi kam hai

tumhaare aane se failegi khushbuen har soo
chale bhi aao gulaabon mein dil-kashi kam hai

vo nafratoin ka khilaadi hai us ke chehre par
fareb chaaya hai shiddat se saadgi kam hai

tumhaare hont bhi khaali hain muskuraahat se
hamaare sukhe labon pe bhi ab khushi kam hai

zameer bech ke karte hain aish ye har dam
hamaare daur ke logon mein ab khudi kam hai

sabhi ko apne hi haalaat ne badal daala
mila to karte hain aapas mein dosti kam hai

sikha diya hai zamaane ne ye hunar saajid
hamaare lehje mein pehle se be-rukhi kam hai

यहाँ ग़मों की है बोहतात और ख़ुशी कम है
चले भी आओ कि अपनी भी ज़िंदगी कम है

ज़रा सी देर ठहर जाओ जुगनुओं आ कर
हमारे घर में चराग़ों की रौशनी कम है

निकल चुके हो जो घर से कहीं ठहर जाओ
हमारे शहर में अम्न-ओ-अमाँ अभी कम है

तुम्हारे आने से फैलेगी ख़ुशबुएँ हर सू
चले भी आओ गुलाबों में दिल-कशी कम है

वो नफ़रतों का खिलाड़ी है उस के चेहरे पर
फ़रेब छाया है शिद्दत से सादगी कम है

तुम्हारे होंट भी ख़ाली हैं मुस्कुराहट से
हमारे सूखे लबों पे भी अब ख़ुशी कम है

ज़मीर बेच के करते हैं ऐश ये हर दम
हमारे दौर के लोगों में अब ख़ुदी कम है

सभी को अपने ही हालात ने बदल डाला
मिला तो करते हैं आपस में दोस्ती कम है

सिखा दिया है ज़माने ने ये हुनर 'साजिद'
हमारे लहजे में पहले से बे-रुख़ी कम है

  - M. I. Sajid

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M. I. Sajid

As you were reading Shayari by M. I. Sajid

Similar Writers

our suggestion based on M. I. Sajid

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari