marne ki ada aur hai jeene ki ada aur
jo chaahoon samajhna bhi to roke hai ana aur
kuchh soch ke qadmon ko na di ham ne bhi jumbish
ilzaam na rakh jaaye kahi phir se hawa aur
takmeel ki manzil hi meri rah-e-fana hai
kyun mujh ko dikhaate ho yahan raah-e-baqa aur
jab se main ikaai ka alam le ke chala hoon
ehsaas ye hota hai juda hone laga aur
ye soch ke karta nahin toofaan ka ta'aqub
mumkin hai badal jaaye zamaane ki hawa aur
ye kaun si manzil hai ki mutthi nahin khulti
hai jab ki mere saamne ik kaali bala aur
मरने की अदा और है जीने की अदा और
जो चाहूँ समझना भी तो रोके है अना और
कुछ सोच के क़दमों को न दी हम ने भी जुम्बिश
इल्ज़ाम न रख जाए कहीं फिर से हवा और
तकमील की मंज़िल ही मिरी राह-ए-फ़ना है
क्यों मुझ को दिखाते हो यहाँ राह-ए-बक़ा और
जब से मैं इकाई का अलम ले के चला हूँ
एहसास ये होता है जुदा होने लगा और
ये सोच के करता नहीं तूफ़ाँ का तआ'क़ुब
मुमकिन है बदल जाए ज़माने की हवा और
ये कौन सी मंज़िल है कि मुट्ठी नहीं खुलती
है जब कि मिरे सामने इक काली बला और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M. K. Asar
our suggestion based on M. K. Asar
As you were reading Andaaz Shayari Shayari