utthe na dhuaan aisi fazaa kis ne hamein di
is tarah sulagne ki saza kis ne hamein di
ik ahad yahan paanv ki mitti mein daba hai
angaaron pe chalne ki ada kis ne hamein di
ham apne samundar ke hawadis mein ghire hain
toofaan mein saahil se sada kis ne hamein di
ham log to azaad fazaaon mein pale hain
phir qaid mein rahne ki saza kis ne hamein di
tasleem ki ye waqt ujaalon ka hai lekin
na-deeda andheron ki qaba kis ne hamein di
majboor bharkane pe charaagon ki tarah hain
ab kis se kahein aisi hawa kis ne hamein di
उट्ठे न धुआँ ऐसी फ़ज़ा किस ने हमें दी
इस तरह सुलगने की सज़ा किस ने हमें दी
इक अह्द यहाँ पाँव की मिट्टी में दबा है
अंगारों पे चलने की अदा किस ने हमें दी
हम अपने समुंदर के हवादिस में घिरे हैं
तूफ़ान में साहिल से सदा किस ने हमें दी
हम लोग तो आज़ाद फ़ज़ाओं में पले हैं
फिर क़ैद में रहने की सज़ा किस ने हमें दी
तस्लीम कि ये वक़्त उजालों का है लेकिन
नादीदा अँधेरों की क़बा किस ने हमें दी
मजबूर भड़कने पे चराग़ों की तरह हैं
अब किस से कहें ऐसी हवा किस ने हमें दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M. K. Asar
our suggestion based on M. K. Asar
As you were reading Justice Shayari Shayari