mauj-e-sehba mein tamannaa ke safeene kho kar | मौज-ए-सहबा में तमन्ना के सफ़ीने खो कर

  - Mahmood Ayaz

mauj-e-sehba mein tamannaa ke safeene kho kar
naghma o raqs ki mehfil se jo ghabra ke utha
ek hansati hui gudiya ne ishaare se kaha
tum jo chaaho to main shab bhar ki rifaqat bakhshuun

jumbish-e-abroo ne alfaaz ki zahmat bhi na di
neem-wa aankhon mein ik daawat-e-khaamoshi liye
yun simat kar meri aaghosh mein aayi jaise
bhari duniya mein bas ik gosha-e-raahat tha yahi

ham bhi veeraan guzargaahon pe chalte chalte
ghar tak aaye to koi rang-e-takalluf hi na tha
do badan milte hi yun hamdam-e-deerina bane
tandahi-e-shauq mein doori ka har ehsaas mita

subh ke saath khuli aankh to ehsaas hua
mere seene mein koi cheez thi jo toot gai
der se dekh rahi thi tiri tasveer mujhe
tere aariz pe thi bahte hue ashkon ki nami
teri khaamosh nigaahon mein koi shikwa na tha

dekhte dekhte veeraani-e-dil aur badhi
teri tasveer ko seene se laga kar poocha
kis tarab-zaar mein aasooda hai ai raahat-e-zeest
mujhe in aag ke shaalon mein kahaan chhod gai

मौज-ए-सहबा में तमन्ना के सफ़ीने खो कर
नग़्मा ओ रक़्स की महफ़िल से जो घबरा के उठा
एक हँसती हुई गुड़िया ने इशारे से कहा
तुम जो चाहो तो मैं शब भर की रिफ़ाक़त बख़्शूँ

जुम्बिश-ए-अबरू ने अल्फ़ाज़ की ज़हमत भी न दी
नीम-वा आँखों में इक दावत-ए-ख़ामोश लिए
यूँ सिमट कर मिरी आग़ोश में आई जैसे
भरी दुनिया में बस इक गोशा-ए-राहत था यही

हम भी वीरान गुज़रगाहों पे चलते चलते
घर तक आए तो कोई रंग-ए-तकल्लुफ़ ही न था
दो बदन मिलते ही यूँ हमदम-ए-देरीना बने
तनदही-ए-शौक़ में दूरी का हर एहसास मिटा

सुब्ह के साथ खुली आँख तो एहसास हुआ
मेरे सीने में कोई चीज़ थी जो टूट गई
देर से देख रही थी तिरी तस्वीर मुझे
तेरे आरिज़ पे थी बहते हुए अश्कों की नमी
तेरी ख़ामोश निगाहों में कोई शिकवा न था

देखते देखते वीरानी-ए-दिल और बढ़ी
तेरी तस्वीर को सीने से लगा कर पूछा
किस तरब-ज़ार में आसूदा है ऐ राहत-ए-ज़ीस्त
मुझे इन आग के शालों में कहाँ छोड़ गई

  - Mahmood Ayaz

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari