larzate saayo se mubham nuqoosh ubharte hain | लरज़ते सायों से मुबहम नुक़ूश उभरते हैं

  - Mahmood Ayaz

larzate saayo se mubham nuqoosh ubharte hain
ik an-kahi si kahaani ik an-suni si baat
taveel raat ki khaamoshiyon mein dhalti hai

fasurda lamhe khalaon mein rang bharte hain

sadaaein zehan ki pinhaaiyon mein goonjti hain
khizaan ke saaye jhalkate hain teri aankhon mein
tiri nigaahon mein rafta bahaaron ka gham hai

hayaat khwaab-gahon mein panaah dhundti hai
fasurda lamhe khalaon mein rang bharte hain
ye gardish-e-mah-o-saal aazma chuki hai jinhen
ye gardish-e-mah-o-saal aazma rahi hai hamein
magar ye soch ki anjaam-e-kaar kya hoga
davaam tera muqaddar hai aur na mera naseeb
davaam kis ko mila hai jo ham ko mil jaata
ye chand lamha agar jaavedaan na ho jaate
main sochta hoon ki apna nishaan kya hota
kahaan pe tootaa jabr-e-hayaat ka afsoon
kahaan pahunch ke khayaalon ko aasraa milta

fasurda lamho abhi aur be-karaan ho jaao
fasurda lamho aur be-karaan ho jaao

लरज़ते सायों से मुबहम नुक़ूश उभरते हैं
इक अन-कही सी कहानी, इक अन-सुनी सी बात
तवील रात की ख़ामोशियों में ढलती है

फ़सुर्दा लम्हे ख़लाओं में रंग भरते हैं

सदाएँ ज़ेहन की पिन्हाइयों में गूँजती हैं
ख़िज़ाँ के साए झलकते हैं तेरी आँखों में
तिरी निगाहों में रफ़्ता बहारों का ग़म है''

हयात ख़्वाब-गहों में पनाह ढूँडती है
फ़सुर्दा लम्हे ख़लाओं में रंग भरते हैं
ये गर्दिश-ए-मह-ओ-साल आज़मा चुकी है जिन्हें
ये गर्दिश-ए-मह-ओ-साल आज़मा रही है हमें
मगर ये सोच कि अंजाम-ए-कार क्या होगा
दवाम तेरा मुक़द्दर है और न मेरा नसीब
दवाम किस को मिला है जो हम को मिल जाता?
ये चंद लम्हा अगर जावेदाँ न हो जाते
मैं सोचता हूँ कि अपना निशान क्या होता
कहाँ पे टूटता जब्र-ए-हयात का अफ़्सूँ
कहाँ पहुँच के ख़यालों को आसरा मिलता?

फ़सुर्दा लम्हो, अभी और बे-कराँ हो जाओ
फ़सुर्दा लम्हो, और बे-कराँ हो जाओ

  - Mahmood Ayaz

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari