chilmanon ke us taraf jagmagaati zindagi
saamne aa kar naqaab-e-rukh ko sarkaati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daaman thaam le
doobte taare numood-e-subh se sahme hue
malgaji dhundlaahaton mein jhilmila kar kho gaye
jaagti aankhon mein ik guzri hui duniya liye
is taraf main hoon mere maazi ki badhti dhund hai
dhundle dhundle naqsh la-haasil tamannaon ki raakh
raushni ke daayere se door yaadon ka khumaar
ik taraf jaltee faseelon se dhuaan uthata hua
ik taraf aasoodagi-e-aarzoo ke narm khwaab
kham-b-kham raahen safar ki gard mein khoi hui
jaltee aankhon mein sunhare khwaab-zaaron ke saraab
roz-o-shab ke jalte-bujhte daayron ko tod kar
aarzoo ki wusaaten sahra-b-sahra be-kinaar
na-taraashida chataanen raasta roke hue
ik sada-e-baaz-gasht. apni navaon ka jawaab
ashk-ha-e-subh-gaahi se sehar khilti hui
raat ki taariqiyaan dil ke lahu se laala-zaar
ek soz-e-aarzoo anfaas mein rachta hua
ek mubham dard dil ki khalvaton mein be-qaraar
bas yahi subhen yahi shaamen yahi be-naam dard
umr bhar ki jidd-o-johd-e-shauq ka haasil rahe
teera-bakht aankhon mein aise khwaab ke paikar base
jin se munh modoon to har aasaish-e-duniya mile
chilmanon ke is taraf se jagmagaati zindagi
saamne aa kar naqaab-e-rukh ko sarkaati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daaman thaam le
चिलमनों के उस तरफ़ जगमगाती ज़िंदगी
सामने आ कर नक़ाब-ए-रुख़ को सरकाती हुई
मुझ से हँस कर कह रही है मेरा दामन थाम ले
डूबते तारे नुमूद-ए-सुब्ह से सहमे हुए
मल्गजी धुँदलाहटों में झिलमिला कर खो गए
जागती आँखों में इक गुज़री हुई दुनिया लिए
इस तरफ़ मैं हूँ मिरे माज़ी की बढ़ती धुँद है
धुँदले धुँदले नक़्श ला-हासिल तमन्नाओं की राख
रौशनी के दाएरे से दूर यादों का ख़ुमार
इक तरफ़ जलती फ़सीलों से धुआँ उठता हुआ
इक तरफ़ आसूदगी-ए-आरज़ू के नर्म ख़्वाब
ख़म-ब-ख़म राहें सफ़र की गर्द में खोई हुई
जलती आँखों में सुनहरे ख़्वाब-ज़ारों के सराब
रोज़-ओ-शब के जलते-बुझते दाएरों को तोड़ कर
आरज़ू की वुसअतें सहरा-ब-सहरा बे-कनार
ना-तराशीदा चटानें रास्ता रोके हुए
इक सदा-ए-बाज़-गश्त अपनी नवाओं का जवाब
अश्क-हा-ए-सुब्ह-गाही से सहर खिलती हुई
रात की तारीकियाँ दिल के लहू से लाला-ज़ार
एक सोज़-ए-आरज़ू अन्फ़ास में रचता हुआ
एक मुबहम दर्द दिल की ख़ल्वतों में बे-क़रार
बस यही सुब्हें यही शामें यही बे-नाम दर्द
उम्र भर की जिद्द-ओ-जोहद-ए-शौक़ का हासिल रहे
तीरा-बख़्त आँखों में ऐसे ख़्वाब के पैकर बसे
जिन से मुँह मोड़ूँ तो हर आसाइश-ए-दुनिया मिले
चिलमनों के इस तरफ़ से जगमगाती ज़िंदगी
सामने आ कर नक़ाब-ए-रुख़ को सरकाती हुई
मुझ से हँस कर कह रही है मेरा दामन थाम ले
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahmood Ayaz
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari