daur-e-haazir mein bala ki nafratein mashghool hain | दौर-ए-हाज़िर में बला की नफ़रतें मशग़ूल हैं

  - Meena Bhatt

daur-e-haazir mein bala ki nafratein mashghool hain
par muhabbat ko hamaari kaavishein mashghool hain

hain kahi mashghool insa zindagi ki daud mein
aur kahi insa ke andar saazishein mashghool hain

ay ghazal tu khilkhila maayusiyon ko chhod de
ranj-o-gham ke daur mein bhi mehfileen mashghool hain

tab talak har soo milengi saazishein hi saazishein
jab talak insa ke dil mein khwaahishein mashghool hain

kaun hai jiski mahak mein ram chuki saansen meri
raam jaane kiski dhun par dhadkane mashghool hai

roz khanjar ghonti hain aapki yaadein mujhe
yaani mere qatl mein ab furqatein mashghool hain

लहजा-शीरीं,कर raha hai unki har fitrat bayaan
muskurahat ke परे,कुछ ranjishen mashghool hain

दौर-ए-हाज़िर में बला की नफ़रतें मशग़ूल हैं
पर मुहब्बत को हमारी काविशें मशग़ूल हैं

हैं कहीं मशग़ूल इंसा ज़िंदगी की दौड़ में
और कहीं इंसा के अंदर साज़िशें मशग़ूल हैं

अय ग़ज़ल तू खिलखिला, मायूसियों को छोड़ दे
रंज-ओ-ग़म के दौर में भी महफ़िलें मशग़ूल हैं

तब तलक हर सू मिलेंगी साज़िशें ही साज़िशें
जब तलक इंसा के दिल में ख़्वाहिशें मशग़ूल हैं

कौन है जिसकी महक में रम चुकीं साँसें मेरी
राम जाने किसकी धुन पर धड़कनें मशग़ूल है

रोज़ ख़ंजर घोंपती हैं, आपकी यादें मुझे
यानी मेरे क़त्ल में अब फ़ुर्क़तें मशग़ूल हैं

लहजा-शीरीं,कर रहा है, उनकी हर फ़ितरत बयाँ
मुस्कराहट के परे,कुछ रंजिशें मशग़ूल हैं

  - Meena Bhatt

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari