aa ki meri jaan ko qaraar nahin hai
taqat-e-bedaad-e-intizaar nahin hai
dete hain jannat hayaat-e-dehr ke badle
nashsha ba-andaaza-e-khumaar nahin hai
giryaa nikale hai teri bazm se mujh ko
haaye ki rone pe ikhtiyaar nahin hai
ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ki ghubaar nahin hai
dil se utha lutf-e-jalwa-ha-e-maani
ghair-e-gul aaina-e-bahaar nahin hai
qatl ka mere kiya hai ahad to baare
waaye agar ahad ustuvaar nahin hai
tu ne qasam may-kashi ki khaai hai ghalib
teri qasam ka kuchh e'tibaar nahin hai
आ कि मिरी जान को क़रार नहीं है
ताक़त-ए-बेदाद-ए-इंतिज़ार नहीं है
देते हैं जन्नत हयात-ए-दहर के बदले
नश्शा ब-अंदाज़ा-ए-ख़ुमार नहीं है
गिर्या निकाले है तेरी बज़्म से मुझ को
हाए कि रोने पे इख़्तियार नहीं है
हम से अबस है गुमान-ए-रंजिश-ए-ख़ातिर
ख़ाक में उश्शाक़ की ग़ुबार नहीं है
दिल से उठा लुत्फ़-ए-जल्वा-हा-ए-मआनी
ग़ैर-ए-गुल आईना-ए-बहार नहीं है
क़त्ल का मेरे किया है अहद तो बारे
वाए अगर अहद उस्तुवार नहीं है
तू ने क़सम मय-कशी की खाई है 'ग़ालिब'
तेरी क़सम का कुछ ए'तिबार नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Kashmir Shayari Shayari