kab vo sunta hai kahaani meri | कब वो सुनता है कहानी मेरी

  - Mirza Ghalib

kab vo sunta hai kahaani meri
aur phir vo bhi zabaani meri

khalish-e-ghamzaa-e-khun-rez na pooch
dekh khoonaaba-fishaani meri

kya bayaan kar ke mera roenge yaar
magar aashufta-bayaani meri

hoon z-khud raftaa-e-baida-e-khyaal
bhool jaana hai nishaani meri

mutqaabil hai muqaabil mera
ruk gaya dekh rawaani meri

qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hoon
sakht arzaan hai giraani meri

gard-baad-e-rah-e-betaabi hoon
sarsar-e-shauq hai baani meri

dehan us ka jo na maaloom hua
khul gai hech madaani meri

kar diya zof ne aajiz ghalib
nang-e-peeri hai jawaani meri

कब वो सुनता है कहानी मेरी
और फिर वो भी ज़बानी मेरी

ख़लिश-ए-ग़म्ज़ा-ए-ख़ूँ-रेज़ न पूछ
देख ख़ूँनाबा-फ़िशानी मेरी

क्या बयाँ कर के मिरा रोएँगे यार
मगर आशुफ़्ता-बयानी मेरी

हूँ ज़-ख़ुद रफ़्ता-ए-बैदा-ए-ख़याल
भूल जाना है निशानी मेरी

मुतक़ाबिल है मुक़ाबिल मेरा
रुक गया देख रवानी मेरी

क़द्र-ए-संग-ए-सर-ए-रह रखता हूँ
सख़्त अर्ज़ां है गिरानी मेरी

गर्द-बाद-ए-रह-ए-बेताबी हूँ
सरसर-ए-शौक़ है बानी मेरी

दहन उस का जो न मालूम हुआ
खुल गई हेच मदानी मेरी

कर दिया ज़ोफ़ ने आजिज़ 'ग़ालिब'
नंग-ए-पीरी है जवानी मेरी

  - Mirza Ghalib

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari