naved-e-amn hai bedaad-e-dost jaan ke liye
rahi na tarz-e-sitam koi aasmaan ke liye
bala se gar miza-e-yaar tishna-e-khoon hai
rakhoon kuchh apni bhi mizgaan-e-khoon fishaan ke liye
vo zinda ham hain ki hain roo-shanaas-e-khalq ai khizr
na tum ki chor bane umr-e-jaavedaan ke liye
raha bala mein bhi main mubtala-e-aafat-e-rashk
bala-e-jaan hai ada teri ik jahaan ke liye
falak na door rakh us se mujhe ki main hi nahin
daraaz-dasti-e-qaatil ke imtihaan ke liye
misaal ye meri koshish ki hai ki murgh-e-aseer
kare qafas mein faraham khas aashiyaan ke liye
gada samajh ke vo chup tha meri jo shaamat aayi
utha aur uth ke qadam main ne paasbaan ke liye
b-qadr-e-shauq nahin zarf-e-tangnaa-e-ghazal
kuchh aur chahiye wus'at mere bayaan ke liye
diya hai khalk ko bhi ta use nazar na lage
bana hai aish tajammul husain khan ke liye
zabaan pe baar-e-khudaaya ye kis ka naam aaya
ki mere nutq ne bose meri zabaan ke liye
naseer-e-daulat-o-deen aur mueen-e-millat-o-mulk
bana hai charkh-e-bareen jis ke aastaan ke liye
zamaana ahad mein us ke hai mahw-e-aaraish
banenge aur sitaare ab aasmaan ke liye
varq tamaam hua aur madh baaki hai
safeena chahiye is bahr-e-bekaraan ke liye
ada-e-khaas se ghalib hua hai nukta-sara
sala-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daan ke liye
नवेद-ए-अम्न है बेदाद-ए-दोस्त जाँ के लिए
रही न तर्ज़-ए-सितम कोई आसमाँ के लिए
बला से गर मिज़ा-ए-यार तिश्ना-ए-ख़ूँ है
रखूँ कुछ अपनी भी मिज़्गान-ए-ख़ूँ फ़िशाँ के लिए
वो ज़िंदा हम हैं कि हैं रू-शनास-ए-ख़ल्क़ ऐ ख़िज़्र
न तुम कि चोर बने उम्र-ए-जावेदाँ के लिए
रहा बला में भी मैं मुब्तला-ए-आफ़त-ए-रश्क
बला-ए-जाँ है अदा तेरी इक जहाँ के लिए
फ़लक न दूर रख उस से मुझे कि मैं ही नहीं
दराज़-दस्ती-ए-क़ातिल के इम्तिहाँ के लिए
मिसाल ये मिरी कोशिश की है कि मुर्ग़-ए-असीर
करे क़फ़स में फ़राहम ख़स आशियाँ के लिए
गदा समझ के वो चुप था मिरी जो शामत आई
उठा और उठ के क़दम मैं ने पासबाँ के लिए
ब-क़द्र-ए-शौक़ नहीं ज़र्फ़-ए-तंगना-ए-ग़ज़ल
कुछ और चाहिए वुसअत मिरे बयाँ के लिए
दिया है ख़ल्क़ को भी ता उसे नज़र न लगे
बना है ऐश तजम्मुल हुसैन ख़ाँ के लिए
ज़बाँ पे बार-ए-ख़ुदाया ये किस का नाम आया
कि मेरे नुत्क़ ने बोसे मिरी ज़बाँ के लिए
नसीर-ए-दौलत-ओ-दीं और मुईन-ए-मिल्लत-ओ-मुल्क
बना है चर्ख़-ए-बरीं जिस के आस्ताँ के लिए
ज़माना अहद में उस के है महव-ए-आराइश
बनेंगे और सितारे अब आसमाँ के लिए
वरक़ तमाम हुआ और मद्ह बाक़ी है
सफ़ीना चाहिए इस बहर-ए-बेकराँ के लिए
अदा-ए-ख़ास से 'ग़ालिब' हुआ है नुक्ता-सरा
सला-ए-आम है यारान-ए-नुक्ता-दाँ के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aankhein Shayari Shayari