gham-e-ulfat uthaaye firte hain
dard apna chhupaaye firte hain
hona kuchh hai nahin use paakar
jaan apni banaaye firte hain
kaho usse na le vo naam mera
log khanjar chhupaaye firte hain
jaane kiske sar aaye khoon mera
ghaat gul bhi lagaaye firte hain
ग़म-ए-उल्फ़त उठाए फिरते हैं
दर्द अपना छुपाए फिरते हैं
होना कुछ है नहीं उसे पाकर
जान अपनी बनाए फिरते हैं
कहो उससे न ले वो नाम मेरा
लोग ख़ंजर छुपाए फिरते हैं
जाने किसके सर आए ख़ून मेरा
घात गुल भी लगाए फिरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Mehboob Shayari Shayari