ghadi jeeta ghadi marta raha hoon
use jaate hue takta raha hoon
main khud ko saamne tere bitha kar
khud apne se gila karta raha hoon
jo saare shehar ka tha us ki khaatir
main saare shehar se ladta raha hoon
main waqt-e-khaana-e-mazdoor tha so
b-taur-e-imtihaan katata raha hoon
bahut pahchaanta hoon zaahidon ko
tumhaare ghar ka main rasta raha hoon
घड़ी जीता घड़ी मरता रहा हूँ
उसे जाते हुए तकता रहा हूँ
मैं ख़ुद को सामने तेरे बिठा कर
ख़ुद अपने से गिला करता रहा हूँ
जो सारे शहर का था उस की ख़ातिर
मैं सारे शहर से लड़ता रहा हूँ
मैं वक़्त-ए-ख़ाना-ए-मज़दूर था सो
ब-तौर-ए-इम्तिहाँ कटता रहा हूँ
बहुत पहचानता हूँ ज़ाहिदों को
तुम्हारे घर का मैं रस्ता रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad
our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad
As you were reading Shikwa Shayari Shayari