baarahween martaba
maut ka khwaab takmeel tak aate aate kahi rah gaya hai
mujhe koi zakhamon ke taanke lagana sikha de
to main apna chamda use daan kar doonga
phir chahe vo us ke joote banaaye
ya apni balaaon ka sadqa utaare
agar devataaon mein jhagda hua aur tum is zameen par
kisi an-sune qahqahe ke shikam se baramad hue
to main apni poron pe ugati hui raat se tum mein itni udaasi bharunga
ki tum cheekhte cheekhte ek dam hast hone lagoge
lipt jaaoge mujh mein paivast hone lagoge
magar main abhi terahwaan khwaab aankhon mein paivast karne laga hoon
बारहवीँ मर्तबा
मौत का ख़्वाब तकमील तक आते आते कहीं रह गया है
मुझे कोई ज़ख़्मों के टाँके लगाना सिखा दे
तो मैं अपना चमड़ा उसे दान कर दूँगा
फिर चाहे वो उस के जूते बनाए
या अपनी बलाओं का सदक़ा उतारे
अगर देवताओं में झगड़ा हुआ और तुम इस ज़मीं पर
किसी अन-सुने क़हक़हे के शिकम से बरामद हुए
तो मैं अपनी पोरों पे उगती हुई रात से तुम में इतनी उदासी भरूँगा
कि तुम चीख़ते चीख़ते एक दम हस्त होने लगोगे
लिपट जाओगे मुझ में पैवस्त होने लगोगे
मगर मैं अभी तेरहवाँ ख़्वाब आँखों में पैवस्त करने लगा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Khalid
our suggestion based on Osama Khalid
As you were reading Sad Shayari Shayari