dubla patla naazuk douraan
sheesha jaisa naazuk douraan
gham ki kaali raat ka maara
apne hi jazbaat ka maara
aathon pahar yun khoya khoya
jaise gahri soch mein dooba
kam hansna aadat mein daakhil
khaamoshi fitrat mein daakhil
sham'a ki soorat bazm mein jalna
gaah bhadkana gaah pighalna
maathe par har waqt shikan si
chehra par aazurda thakan si
chehre se mehroomi zaahir
maasoomi mazloomi zaahir
aankhen har dam umdi umdi
palkein har dam bheegi bheegi
karb aankhon mein dard aankhon mein
raah-e-wafa ki gard aankhon mein
sehama sehama shaam-e-bala se
rootha rootha apne khuda se
aql-o-khird se jee ko churaaye
paagal-pan se baaz na aaye
jaane dil mein kis ki lagan hai
rooh mein kis kaante ki chubhan hai
ye hai apna douraan yaaro
uljha suljhaa douraan yaaro
lekin yaaro yahi musaafir
raah-e-wafa ka dukhi musaafir
shaanon par ik bojh ko laade
raah-e-talab mein aage aage
dil mein ik mazboot iraada
nazaron mein ik raushan jaada
gham ki lambi raat pe bhari
zulm ka aur zulmat ka shikaari
insaani tahzeeb ka qaail
duniya ki ta'aamir pe maail
saii-e-paiham us ki tamannaa
jagmag jagmag us ka rasta
us ki saari fikr-e-pareshaan
insaani tanzeem ki khwaahan
nazmein us ki jaan-e-maqaasid
rooh-e-tamaddun shaan-e-maqaasid
subh pe shaida shaam pe aashiq
apne watan ke naam pe aashiq
baatein raib-o-riya se khaali
har naqsh-e-kirdaar misaali
pyaar insaan ka dil mein chhupaaye
dard-e-jahaan seene mein basaaye
douraan hai ya rooh-e-dauraan
giryaa giryaa khandaan khandaan
is ki duniya apni duniya
is duniya mein saari duniya
दुबला पतला नाज़ुक 'दौराँ'
शीशा जैसा नाज़ुक 'दौराँ'
ग़म की काली रात का मारा
अपने ही जज़्बात का मारा
आठों पहर यूँ खोया खोया
जैसे गहरी सोच में डूबा
कम हँसना आदत में दाख़िल
ख़ामोशी फ़ितरत में दाख़िल
शम्अ की सूरत बज़्म में जलना
गाह भड़कना गाह पिघलना
माथे पर हर वक़्त शिकन सी
चेहरा पर आज़ुर्दा थकन सी
चेहरे से महरूमी ज़ाहिर
मासूमी मज़लूमी ज़ाहिर
आँखें हर दम उमडी उमडी
पलकें हर दम भीगी भीगी
कर्ब आँखों में दर्द आँखों में
राह-ए-वफ़ा की गर्द आँखों में
सहमा सहमा शाम-ए-बला से
रूठा रूठा अपने ख़ुदा से
अक़्ल-ओ-ख़िरद से जी को चुराए
पागल-पन से बाज़ न आए
जाने दिल में किस की लगन है
रूह में किस काँटे की चुभन है
ये है अपना 'दौराँ' यारो
उलझा सुलझा 'दौराँ' यारो
लेकिन यारो यही मुसाफ़िर
राह-ए-वफ़ा का दुखी मुसाफ़िर
शानों पर इक बोझ को लादे
राह-ए-तलब में आगे आगे
दिल में इक मज़बूत इरादा
नज़रों में इक रौशन जादा
ग़म की लम्बी रात पे भारी
ज़ुल्म का और ज़ुल्मत का शिकारी
इंसानी तहज़ीब का क़ाइल
दुनिया की ता'मीर पे माइल
सई-ए-पैहम उस की तमन्ना
जगमग जगमग उस का रस्ता
उस की सारी फ़िक्र-ए-परेशाँ
इंसानी तंज़ीम की ख़्वाहाँ
नज़्में उस की जान-ए-मक़ासिद
रूह-ए-तमद्दुन शान-ए-मक़ासिद
सुब्ह पे शैदा शाम पे आशिक़
अपने वतन के नाम पे आशिक़
बातें रैब-ओ-रिया से ख़ाली
हर नक़्श-ए-किरदार मिसाली
प्यार इंसाँ का दिल में छुपाए
दर्द-ए-जहाँ सीने में बसाए
'दौराँ' है या रूह-ए-'दौराँ'
गिर्यां गिर्यां ख़ंदाँ ख़ंदाँ
इस की दुनिया अपनी दुनिया
इस दुनिया में सारी दुनिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Owais Ahmad Dauran
our suggestion based on Owais Ahmad Dauran
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari