pehle ghire the be-khabron ke hujoom mein
ab aa gaye hain deeda-varon ke hujoom mein
kuchh bhi nahin hai udti hui raakh ke siva
kya dhoondte ho kam-nazron ke hujoom mein
shehron mein aainon ke khareedaar hi nahin
ik be-kali hai sheesha-garon ke hujoom mein
pehchaan lijye kaun hai insaan ka rehnuma
in be-shumaar raahbaron ke hujoom mein
paivand ki tarah nazar aata hai bad-numa
pukhta makaan kacche gharo ke hujoom mein
tesha-b-dast har koi rehta hai raat din
ham dil-jalon ke be-jigron ke hujoom mein
douraan bhi ehtijaaj hi karte hue mile
sadkon pe gasht karte saroon ke hujoom mein
पहले घिरे थे बे-ख़बरों के हुजूम में
अब आ गए हैं दीदा-वरों के हुजूम में
कुछ भी नहीं है उड़ती हुई राख के सिवा
क्या ढूँडते हो कम-नज़रों के हुजूम में
शहरों में आइनों के ख़रीदार ही नहीं
इक बे-कली है शीशा-गरों के हुजूम में
पहचान लीजे कौन है इंसाँ का रहनुमा
इन बे-शुमार राहबरों के हुजूम में
पैवंद की तरह नज़र आता है बद-नुमा
पुख़्ता मकान कच्चे घरों के हुजूम में
तेशा-ब-दस्त हर कोई रहता है रात दिन
हम दिल-जलों के बे-जिगरों के हुजूम में
'दौराँ' भी एहतिजाज ही करते हुए मिले
सड़कों पे गश्त करते सरों के हुजूम में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Owais Ahmad Dauran
our suggestion based on Owais Ahmad Dauran
As you were reading Raat Shayari Shayari