raunaq-e-koocha-o-bazaar hain teri aankhen
log sauda hain khareedaar hain teri aankhen
kya yoonhi jaazib-o-dildaar hain teri aankhen
khaaliq-e-husn ka shehkaar hain teri aankhen
ye na hoti to kisi dil mein na toofaan uthata
shauq-angez o fusoon-kaar hain teri aankhen
teri maasoomiyat-e-dil ka pata deti hain
teri mahboobi ka iqaar hain teri aankhen
jaam-o-meena ki tarah khud hi chhalk jaati hain
kitni makhmoor hain sarshaar hain teri aankhen
un ki taqdees pe ho azmat-e-maryam bhi nisaar
kaun kehta hai gunahgaar hain teri aankhen
palkein bojhal hain madhur neend ke maare lekin
jaane kya baat hai bedaar hain teri aankhen
jaise saawan ki ghatta toot ke barase ai dost
aaj kuchh aise guhar-baar hain teri aankhen
mere mahboob-e-dil-aawez bata de itna
mujh se kis shay ki talabgaar hain teri aankhen
hasratein dil mein liye doob raha hai douraan
mauj-dar-mauj hain manjhdhaar hain teri aankhen
रौनक़-ए-कूचा-ओ-बाज़ार हैं तेरी आँखें
लोग सौदा हैं ख़रीदार हैं तेरी आँखें
क्या यूँही जाज़िब-ओ-दिलदार हैं तेरी आँखें
ख़ालिक़-ए-हुस्न का शहकार हैं तेरी आँखें
ये न होतीं तो किसी दिल में न तूफ़ाँ उठता
शौक़-अंगेज़ ओ फ़ुसूँ-कार हैं तेरी आँखें
तेरी मासूमियत-ए-दिल का पता देती हैं
तेरी महबूबी का इक़रार हैं तेरी आँखें
जाम-ओ-मीना की तरह ख़ुद ही छलक जाती हैं
कितनी मख़मूर हैं सरशार हैं तेरी आँखें
उन की तक़्दीस पे हो अज़्मत-ए-मर्यम भी निसार
कौन कहता है गुनहगार हैं तेरी आँखें
पलकें बोझल हैं मधुर नींद के मारे लेकिन
जाने क्या बात है बेदार हैं तेरी आँखें
जैसे सावन की घटा टूट के बरसे ऐ दोस्त
आज कुछ ऐसे गुहर-बार हैं तेरी आँखें
मेरे महबूब-ए-दिल-आवेज़ बता दे इतना
मुझ से किस शय की तलबगार हैं तेरी आँखें
हसरतें दिल में लिए डूब रहा है 'दौराँ'
मौज-दर-मौज हैं मंजधार हैं तेरी आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Owais Ahmad Dauran
our suggestion based on Owais Ahmad Dauran
As you were reading Rahbar Shayari Shayari