is tarah ke lutf se koi kahaan tak shaad ho | इस तरह के लुत्फ़ से कोई कहाँ तक शाद हो

  - Pandit Vidya Rattan Asi

is tarah ke lutf se koi kahaan tak shaad ho
lutf ke parde mein jab bedaad hi bedaad ho

aise jeene se koi kya mutmain kya shaad ho
har-nafs jab aah-o-zaari har-nafs fariyaad ho

meri barbaadi ka qissa mere gham ki dastaan
ai wafa-na-aashnaa shaayad tujhe kuchh yaad ho

bin tire mehsoos yun karta hoon jaise zindagi
sar-basar mujh par koi ilzaam be-buniyaad ho

rafta-rafta mit rahe hain meri barbaadi ke naqsh
o sitamgar phir koi taaza sitam ijaad ho

is tarah sooni hai aasi zindagi un ke baghair
jis tarah koi makaan muddat se ghair-aabaad ho

इस तरह के लुत्फ़ से कोई कहाँ तक शाद हो
लुत्फ़ के पर्दे में जब बेदाद ही बेदाद हो

ऐसे जीने से कोई क्या मुतमइन क्या शाद हो
हर-नफ़स जब आह-ओ-ज़ारी हर-नफ़स फ़रियाद हो

मेरी बर्बादी का क़िस्सा मेरे ग़म की दास्ताँ
ऐ वफ़ा-ना-आश्ना शायद तुझे कुछ याद हो

बिन तिरे महसूस यूँ करता हूँ जैसे ज़िंदगी
सर-बसर मुझ पर कोई इल्ज़ाम बे-बुनियाद हो

रफ़्ता-रफ़्ता मिट रहे हैं मेरी बर्बादी के नक़्श
ओ सितमगर फिर कोई ताज़ा सितम ईजाद हो

इस तरह सूनी है 'आसी' ज़िंदगी उन के बग़ैर
जिस तरह कोई मकाँ मुद्दत से ग़ैर-आबाद हो

  - Pandit Vidya Rattan Asi

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pandit Vidya Rattan Asi

As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Writers

our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari