tumhein kisi baat ki hai parwaah waqai mein
jo chhedte ho mujhe sar-e-raah waqai mein
uthaaunga nakhre aapke naukri pe rakh len
do chaar bose hain meri tankhwaah waqai mein
bade bade soorma mile aate jaate hamko
mila nahin dhoondne se hamraah waqai mein
amal kiye saam daam aur dand bhed ham par
na kar sake raah-e-haq se gumraah waqai mein
kamaal vo khoobsurati ki misaal ladki
jo dekhe kehta hai maasha allah waqai mein
तुम्हें किसी बात की है परवाह वाक़ई में
जो छेड़ते हो मुझे सर-ए-राह वाक़ई में
उठाऊँगा नख़रे आपके नौकरी पे रख लें
दो चार बोसे हैं मेरी तंख्वाह वाक़ई में
बड़े बड़े सूरमा मिले आते जाते हमको
मिला नहीं ढूँढने से हमराह वाक़ई में
अमल किए साम दाम और दंड भेद हम पर
न कर सके राह-ए-हक़ से गुमराह वाक़ई में
कमाल वो ख़ूबसूरती की मिसाल लड़की
जो देखे कहता है माशा अल्लाह वाक़ई में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abuzar kamaal
our suggestion based on Abuzar kamaal
As you were reading Ghamand Shayari Shayari