yahan shams-o-qamar koi nahin hai | यहाँ शम्स-ओ-क़मर कोई नहीं है

  - Pradeep Rajput 'Mahir'

yahan shams-o-qamar koi nahin hai
shab-e-gham ki sehar koi nahin hai

nigaahon mein tasavvur hai tumhaara
abhi pesh-e-nazar koi nahin hai

mazaahib ki yahan paabandiyo ka
parindon ko to dar koi nahin hai

tumhaare naam se mashhoor hain sab
yahan be-naamvar koi nahin hai

usi ka haal duniya se kaheinge
hamein apni khabar koi nahin hai

yahan ilzaam ki khaatir to sab hain
wafa ke naam par koi nahin hai

ye jhoothon ka hai shaayad shehar maahir
yahan neze pe sar koi nahin hai

यहाँ शम्स-ओ-क़मर कोई नहीं है
शब-ए-ग़म की सहर कोई नहीं  है

निगाहों में तसव्वुर है तुम्हारा
अभी पेश-ए-नज़र कोई नहीं  है

मज़ाहिब की यहाँ पाबंदियों का
परिंदों को तो डर कोई नहीं है

तुम्हारे नाम से मशहूर हैं सब
यहाँ बे-नामवर कोई नहीं है

उसी का हाल दुनिया से कहेंगे
हमें अपनी ख़बर कोई नहीं है

यहाँ इल्ज़ाम की ख़ातिर तो सब हैं
वफ़ा के नाम पर कोई नहीं  है

ये झूठों का है शायद शहर 'माहिर'
यहाँ नेज़े पे सर कोई नहीं है

  - Pradeep Rajput 'Mahir'

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pradeep Rajput 'Mahir'

As you were reading Shayari by Pradeep Rajput 'Mahir'

Similar Writers

our suggestion based on Pradeep Rajput 'Mahir'

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari