tujh sa phir hum-safar nahin milna
chain ab umr bhar nahin milna
faisla jaane ka hai theek hai par
shart ye laut kar nahin milna
ab mulaqaat chaand par hogi
khwaab mein raat bhar nahin milna
saans leta rahoonga ghazlon mein
ro ke tu qabr par nahin milna
door tak paani ho pahaad ho phir
ye nazaara idhar nahin milna
dard kaise sifar karegi tu
koi praanjal udhar nahin milna
तुझ सा फिर हम-सफ़र नहीं मिलना
चैन अब उम्र- भर नहीं मिलना
फैसला जाने का है ठीक है पर
शर्त ये लौट कर नहीं मिलना
अब मुलाक़ात चाँद पर होगी
ख़्वाब में रात भर नहीं मिलना
साँस लेता रहूँगा गज़लों में
रो के तू क़ब्र पर नहीं मिलना
दूर तक पानी हो पहाड़ हो फिर
ये नज़ारा इधर नहीं मिलना
दर्द कैसे सिफ़र करेगी तू
कोई प्रांजल उधर नहीं मिलना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pranjal Joshi
our suggestion based on Pranjal Joshi
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari