rishta-e-rasm-e-mohabbat mat tod | रिश्ता-ए-रस्म-ए-मोहब्बत मत तोड़

  - Qalaq Merathi

rishta-e-rasm-e-mohabbat mat tod
tod kar dil ko qayamat mat tod

kaam-e-naakaami bhi ik kaam sahi
tod ummeed ko himmat mat tod

raat furqat ki padi hai ai dil
ek hi naale mein taqat mat tod

us ki rahmat ko na be-kaar samajh
may-o-maykhaane ki niyyat mat tod

dekh achhi nahin ye khar-masti
saaghar-e-baada-e-fursat mat tod

ai dil ummeed-e-rihaai mat baandh
aur aafat sar-e-aafat mat tod

pooch mat lazzat-e-may ai waiz
jaanwar daam-e-shariat mat tod

sehan-e-masjid ko kiye ja paamaal
qaid-e-aain-e-tareeqat mat tod

may-kada dekh ke jannat ko na bhool
hirs se band-e-qanaat mat tod

is ka ehsaan uthaana hai hamein
gardan ai baar-e-nadaamat mat tod

ai qalq but-kade mein baandh ehraam
ham se lillaah rifaqat mat tod

रिश्ता-ए-रस्म-ए-मोहब्बत मत तोड़
तोड़ कर दिल को क़यामत मत तोड़

काम-ए-नाकामी भी इक काम सही
तोड़ उम्मीद को हिम्मत मत तोड़

रात फ़ुर्क़त की पड़ी है ऐ दिल
एक ही नाले में ताक़त मत तोड़

उस की रहमत को न बे-कार समझ
मय-ओ-मयख़ाने की निय्यत मत तोड़

देख अच्छी नहीं ये ख़र-मस्ती
साग़र-ए-बादा-ए-फ़ुर्सत मत तोड़

ऐ दिल उम्मीद-ए-रिहाई मत बाँध
और आफ़त सर-ए-आफ़त मत तोड़

पूछ मत लज़्ज़त-ए-मय ऐ वाइज़
जानवर दाम-ए-शरीअत मत तोड़

सेहन-ए-मस्जिद को किए जा पामाल
क़ैद-ए-आईन-ए-तरीक़त मत तोड़

मय-कदा देख के जन्नत को न भूल
हिर्स से बंद-ए-क़नाअत मत तोड़

इस का एहसान उठाना है हमें
गर्दन ऐ बार-ए-नदामत मत तोड़

ऐ 'क़लक़' बुत-कदे में बाँध एहराम
हम से लिल्लाह रिफ़ाक़त मत तोड़

  - Qalaq Merathi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari