tere vaade ka ikhtitaam nahin
ki qayamat pe bhi qayaam nahin
bewafaai tumhaari aam hui
ab kisi ko kisi se kaam nahin
kis liye daavaa-e-zulekhaai
gair yusuf nahin ghulaam nahin
vasl ke ba'd hijr ka kya kaam
door gardoon ka intizaam nahin
kaun sunta hai naala-o-fariyaad
charkh ko khauf-e-intiqaam nahin
khaal-e-lab dekh kar hua maaloom
koi daana bagair-e-daam nahin
aap mein kyun ki aaun jab ki tu aaye
khalwat-e-khaas bazm-e-aam nahin
naala karta hoon log sunte hain
aap se mera kuchh kalaam nahin
jis jagah hai wahan bhi hai bohtan
ki kisi ja tira maqaam nahin
roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan
shaam par bhi to ikhtitaam nahin
hai khuda hi qalq jo aaj bujhe
subh hote nahin ki shaam nahin
तेरे वादे का इख़्तिताम नहीं
कि क़यामत पे भी क़याम नहीं
बेवफ़ाई तुम्हारी आम हुई
अब किसी को किसी से काम नहीं
किस लिए दावा-ए-ज़ुलेख़ाई
ग़ैर यूसुफ़ नहीं ग़ुलाम नहीं
वस्ल के बअ'द हिज्र का क्या काम
दूर गर्दूं का इंतिज़ाम नहीं
कौन सुनता है नाला-ओ-फ़रियाद
चर्ख़ को ख़ौफ़-ए-इंतिक़ाम नहीं
ख़ाल-ए-लब देख कर हुआ मालूम
कोई दाना बग़ैर-ए-दाम नहीं
आप में क्यूँ कि आऊँ जब कि तू आए
ख़ल्वत-ए-ख़ास बज़्म-ए-आम नहीं
नाला करता हूँ लोग सुनते हैं
आप से मेरा कुछ कलाम नहीं
जिस जगह है वहाँ भी है बोहतान
कि किसी जा तिरा मक़ाम नहीं
रोज़-ए-फ़ुर्क़त को रोज़-ए-हश्र न जान
शाम पर भी तो इख़्तिताम नहीं
है ख़ुदा ही 'क़लक़' जो आज बुझे
सुब्ह होते नहीं कि शाम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qalaq Merathi
our suggestion based on Qalaq Merathi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari