un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh
kehne lage ye sach hai ki har tarah par darogh
duzd-e-hinaa pe duzdi-e-jaan ka hai ittihaam
khoon-e-dil-o-jigar sar-e-tegh-e-nazar darogh
aana subah-e-hashr ka shaam-e-firaq jhooth
ud jaana shor-e-naala se rang-e-sehar darogh
har lahza teg jaanna abroo ka iftiraak
har lamha zauq-e-qatl mein sar haath par darogh
sar sang-e-dar se phodna vehshat mein naa-suboot
gir jaana sail-e-ashk se deewar-o-dar darogh
khoon-e-jigar bajaae may-e-naab naa-durust
aatish-zani-e-shola-fishaan chashm-e-tar darogh
jaan aur figaar-e-teer-e-miza kis qadar galat
dil aur asir-e-rishta-e-moo sar-b-sar darogh
be-jaan ho aur jeete ho furqat mein ikhtiraau
be-dil ho aur niyaaz-e-nigah hai jigar darogh
tukde nigaah-e-naaz se dil aap ka durust
wahm-e-nazar se door hamaari kamar darogh
udta hai rang saath hi aawaaz-e-naaz ke
cheen-e-jabeen se aap ko itna khatra darogh
hai naa-sipaas-e-wasl dil-e-hijr-e-dost khubt
hai paak-baaz chashm-e-haqeeqat-nigar darogh
kooche mein mere le ke saba aayegi baja
tum khaak ho gaye ho sar-e-rahguzar darogh
ham ko talash aap ki aur dar-b-dar muhaal
jazb-e-dil-o-jigar se umeed-e-asar darogh
ham aur naa'ash uthaane ko aate khilaaf-e-aql
marg-e-shab-e-firaq ki har soo khabar darogh
ye zabt-e-waz'a naam qalq qissa mukhtasar
shaair ho har tarah hai tumhaara hunar darogh
उन से कहा कि सिद्क़-ए-मोहब्बत मगर दरोग़
कहने लगे ये सच है कि हर तरह पर दरोग़
दुज़द-ए-हिना पे दुज़दी-ए-जाँ का है इत्तिहाम
ख़ून-ए-दिल-ओ-जिगर सर-ए-तेग़-ए-नज़र दरोग़
आना सबाह-ए-हश्र का शाम-ए-फ़िराक़ झूट
उड़ जाना शोर-ए-नाला से रंग-ए-सहर दरोग़
हर लहज़ा तेग़ जानना अबरू का इफ़्तिराक
हर लम्हा ज़ौक़-ए-क़त्ल में सर हाथ पर दरोग़
सर संग-ए-दर से फोड़ना वहशत में ना-सुबूत
गिर जाना सैल-ए-अश्क से दीवार-ओ-दर दरोग़
ख़ून-ए-जिगर बजाए मय-ए-नाब ना-दुरुस्त
आतिश-ज़नी-ए-शोला-फ़िशाँ चश्म-ए-तर दरोग़
जाँ और फिगार-ए-तीर-ए-मिज़ा किस क़दर ग़लत
दिल और असीर-ए-रिश्ता-ए-मू सर-ब-सर दरोग़
बे-जाँ हो और जीते हो फ़ुर्क़त में इख़तिराअ'
बे-दिल हो और नियाज़-ए-निगह है जिगर दरोग़
टुकड़े निगाह-ए-नाज़ से दिल आप का दुरुस्त
वहम-ए-नज़र से दूर हमारी कमर दरोग़
उड़ता है रंग साथ ही आवाज़-ए-नाज़ के
चीन-ए-जबीं से आप को इतना ख़तर दरोग़
है ना-सिपास-ए-वस्ल दिल-ए-हिज्र-ए-दोस्त ख़ब्त
है पाक-बाज़ चश्म-ए-हक़ीक़त-निगर दरोग़
कूचे में मेरे ले के सबा आएगी बजा
तुम ख़ाक हो गए हो सर-ए-रहगुज़र दरोग़
हम को तलाश आप की और दर-ब-दर मुहाल
जज़्ब-ए-दिल-ओ-जिगर से उमीद-ए-असर दरोग़
हम और नाअ'श उठाने को आते ख़िलाफ़-ए-अक़्ल
मर्ग-ए-शब-ए-फ़िराक़ की हर सू ख़बर दरोग़
ये ज़ब्त-ए-वज़्अ' नाम 'क़लक़' क़िस्सा मुख़्तसर
शाइर हो हर तरह है तुम्हारा हुनर दरोग़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qalaq Merathi
our suggestion based on Qalaq Merathi
As you were reading Jhooth Shayari Shayari