hisse mein mere hain yahi jaageer bas
mat maangna tum mujhse meri heer bas
mera koi jhagda nahin tum se miyaan
choona nahin uski koi tasveer bas
khushiyaan sabhi apni tujhi par vaar doon
tu tod de nafrat ki ye zanjeer bas
asbaab kitne hain yahan rakhe hue
par chahiye mujhko tiri tasveer bas
main choom luun tere labon ki ye mahak
de de khuda mujhko bhi ye takdeer bas
hain khoobsurat aur nazaare bhi magar
pehle to dekhenge teri tasveer bas
sveekaar hain mujhko to marna bhi agar
tu maar de haathon se apne teer bas
हिस्सें में मेरे हैं यही जागीर बस
मत माँगना तुम मुझसे मेरी हीर बस
मेरा कोई झगड़ा नहीं तुम से मियाँ
छूना नहीं उसकी कोई तस्वीर बस
ख़ुशियाँ सभी अपनी तुझी पर वार दूँ
तू तोड़ दे नफ़रत की ये ज़ंजीर बस
असबाब कितने हैं यहाँ रक्खे हुए
पर चाहिए मुझको तिरी तस्वीर बस
मैं चूम लूँ तेरे लबों की ये महक
दे दे ख़ुदा मुझको भी ये तकदीर बस
हैं ख़ूबसूरत और नज़ारे भी मगर
पहले तो देखेंगे तेरी तस्वीर बस
स्वीकार हैं मुझको तो मरना भी अगर
तू मार दे हाथों से अपने तीर बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rachit Sonkar
our suggestion based on Rachit Sonkar
As you were reading haseen Shayari Shayari