koi darakht koi saaebaan rahe na rahe
buzurg zinda rahein aasmaan rahe na rahe
koi to dega sada harf-e-haq ki duniya mein
hamaare munh mein hamaari zabaan rahe na rahe
hamein to padhna hai maidan-e-jang mein bhi namaaz
muazzinon ke labon par azaan rahe na rahe
hamein to ladna hai duniya mein zaalimon ke khilaaf
qalam rahe koi teer-o-kamaan rahe na rahe
ye iqtidaar ke bhooke ye rishwaton ke wazeer
bala se un ka ye hindostaan rahe na rahe
khuda karega samundar mein rahnumaai bhi
ye naav baaki rahe baadbaan rahe na rahe
कोई दरख़्त कोई साएबाँ रहे न रहे
बुज़ुर्ग ज़िंदा रहें आसमाँ रहे न रहे
कोई तो देगा सदा हर्फ़-ए-हक़ की दुनिया में
हमारे मुँह में हमारी ज़बाँ रहे न रहे
हमें तो पढ़ना है मैदान-ए-जंग में भी नमाज़
मुअज़्ज़िनोंं के लबों पर अज़ाँ रहे न रहे
हमें तो लड़ना है दुनिया में ज़ालिमों के ख़िलाफ़
क़लम रहे कोई तीर-ओ-कमाँ रहे न रहे
ये इक़्तिदार के भूके ये रिश्वतों के वज़ीर
बला से उन का ये हिन्दोस्ताँ रहे न रहे
ख़ुदा करेगा समुंदर में रहनुमाई भी
ये नाव बाक़ी रहे बादबाँ रहे न रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Ansari
our suggestion based on Raees Ansari
As you were reading Falak Shayari Shayari