tamaam phool se chehron ki surkhiyaan ud jaayen | तमाम फूल से चेहरों की सुर्ख़ियाँ उड़ जाएँ

  - Raees Ansari

tamaam phool se chehron ki surkhiyaan ud jaayen
agar chaman se ye khush-rang titliyan ud jaayen

vo bewafa bhi hai maghroor bhi hai patthar bhi
use taraashne baithoon to chheniyaan ud jaayen

ye hausla hai hamaara ki ab bhi raushan hain
hawa ki zad pe raho tum to topiyaan ud jaayen

bhara hua hai vo baarood mere seene mein
agar koi mujhe choo le to dhajjiyaan ud jaayen

तमाम फूल से चेहरों की सुर्ख़ियाँ उड़ जाएँ
अगर चमन से ये ख़ुश-रंग तितलियाँ उड़ जाएँ

वो बेवफ़ा भी है मग़रूर भी है पत्थर भी
उसे तराशने बैठूँ तो छेनियाँ उड़ जाएँ

ये हौसला है हमारा कि अब भी रौशन हैं
हवा की ज़द पे रहो तुम तो टोपियाँ उड़ जाएँ

भरा हुआ है वो बारूद मेरे सीने में
अगर कोई मुझे छू ले तो धज्जियाँ उड़ जाएँ

  - Raees Ansari

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Ansari

As you were reading Shayari by Raees Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Raees Ansari

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari