neend aankhon mein jo aati to jagaane lagte | नींद आँखों में जो आती तो जगाने लगते

  - Raees Ansari

neend aankhon mein jo aati to jagaane lagte
khwaab bacchon ki tarah shor machaane lagte

raat ko ghar nahin aata to mere ghar waale
subh ke waqt meri khair manaane lagte

tere aa jaane se phir aa gai zakhamon pe bahaar
tu nahin aata to sab zakham purane lagte

vo hamein dhoondh ke ik raat mein ghar le aaya
ham use dhoondhne jaate to zamaane lagte

qais jungle ko agar chhod ke aa jaata raeis
to mere shehar ke ladke bhi sataane lagte

नींद आँखों में जो आती तो जगाने लगते
ख़्वाब बच्चों की तरह शोर मचाने लगते

रात को घर नहीं आता तो मिरे घर वाले
सुब्ह के वक़्त मिरी ख़ैर मनाने लगते

तेरे आ जाने से फिर आ गई ज़ख़्मों पे बहार
तू नहीं आता तो सब ज़ख़्म पुराने लगते

वो हमें ढूँढ के इक रात में घर ले आया
हम उसे ढूँडने जाते तो ज़माने लगते

क़ैस जंगल को अगर छोड़ के आ जाता 'रईस'
तो मिरे शहर के लड़के भी सताने लगते

  - Raees Ansari

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Ansari

As you were reading Shayari by Raees Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Raees Ansari

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari