ek muddat se tujhe dil mein basa rakha hai
main tujhe yaad-dehaani se alag rakhta hoon
vo sunega to chhalk utthengi aankhen us ki
is liye khud ko kahaani se alag rakhta hoon
vo jo bachpan mein tire saath padha karta tha
un kitaabon ko nishaani se alag rakhta hoon
tazkira us ka ghazal mein nahin karta hoon raeis
main use lafz-o-maani se alag rakhta hoon
एक मुद्दत से तुझे दिल में बसा रक्खा है
मैं तुझे याद-दहानी से अलग रखता हूँ
वो सुनेगा तो छलक उट्ठेंगी आँखें उस की
इस लिए ख़ुद को कहानी से अलग रखता हूँ
वो जो बचपन में तिरे साथ पढ़ा करता था
उन किताबों को निशानी से अलग रखता हूँ
तज़्किरा उस का ग़ज़ल में नहीं करता हूँ 'रईस'
मैं उसे लफ़्ज़-ओ-मआ'नी से अलग रखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Ansari
our suggestion based on Raees Ansari
As you were reading Chehra Shayari Shayari