chaand sitaare | चाँद सितारे

  - Rafiq Sandelvi

chaand sitaare
phool banfshi patte
tahni tahni jugnoo ban kar
udne waali barf
lakdi ke shaffaaf varq par
mor ke par ki nok se likkhe
kaale kaale harf
ujli dhoop mein
ret ke raushan zarre
aur pahaadi darre
abr-savaar suhaani shaam
aur sabz qaba mein ek pari ka jism
surkh labon ki shaakh se jhadte
phoolon jaise ism
rang-b-rang tilism
jheel ki tah mein doobte chaand ka aks
dhol ki wahshi taal pe hota
neem-barhana raqs

kaise kaise manzar dekhe
ek karod baras pehle ke
ghaar mein baitha shakhs

चाँद सितारे
फूल बनफ़्शी पत्ते
टहनी टहनी जुगनू बन कर
उड़ने वाली बर्फ़
लकड़ी के शफ़्फ़ाफ़ वरक़ पर
मोर के पर की नोक से लिक्खे
काले काले हर्फ़
उजली धूप में
रेत के रौशन ज़र्रे
और पहाड़ी दर्रे
अब्र-सवार सुहानी शाम
और सब्ज़ क़बा में एक परी का जिस्म
सुर्ख़ लबों की शाख़ से झड़ते
फूलों जैसे इस्म
रंग-ब-रंग तिलिस्म
झील की तह में डूबते चाँद का अक्स
ढोल की वहशी ताल पे होता
नीम-बरहना रक़्स!

कैसे कैसे मंज़र देखे
एक करोड़ बरस पहले के
ग़ार में बैठा शख़्स!!

  - Rafiq Sandelvi

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari