tere hi jaise yaar to insaan main bhi hoon
is zindagi ke gham se pareshaan main bhi hoon
rishte jo pehle khoon ke the ghair ho gaye
apne hi ghar mein aaj to mehmaan main bhi hoon
tanhaaiyon ka rona na roya karo ai dasht
duniya ke bheed bhaaḍ mein veeraan main bhi hoon
kehta tha umr bhar kabhi badlenge ham nahin
vo aaj kyun badal gaya hairaan main bhi hoon
nazre karam ho mujhpe bhi furqat mile agar
teri haseen aankhon pe qurbaan main bhi hoon
aisa nahin ke tum hi jale ho judaai mein
tujhse malak bichhad ke to be-jaan main bhi hoon
तेरे ही जैसे यार तो, इंसान मैं भी हूँ
इस ज़िन्दगी के ग़म से, परेशान मैं भी हूँ
रिश्ते जो पहले ख़ून के थे ग़ैर हो गए
अपने ही घर में आज तो, मेहमान मैं भी हूँ
तन्हाइयों का रोना न रोया करो ऐ दश्त
दुनिया के भीड़ भाड़ में, वीरान मैं भी हूँ
कहता था उम्र भर कभी बदलेंगे हम नहीं
वो आज क्यों बदल गया, हैरान मैं भी हूँ
नज़रे करम हो मुझपे भी फ़ुर्सत मिले अगर
तेरी हसीन आँखों पे क़ुर्बान मैं भी हूँ
ऐसा नहीं के तुम ही, जले हो जुदाई में
तुझसे “मलक” बिछड़ के तो, बे-जान मैं भी हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ram Singar Malak
our suggestion based on Ram Singar Malak
As you were reading Dost Shayari Shayari