saamne un ko paaya to ham kho gaye aaj phir hasrat-e-guftugoo rah gai | सामने उन को पाया तो हम खो गए आज फिर हसरत-ए-गुफ़्तुगू रह गई

  - Saba Afghani

saamne un ko paaya to ham kho gaye aaj phir hasrat-e-guftugoo rah gai
un se kehna tha rudaad-e-shaam-e-alam dil ki dil hi mein ye aarzoo rah gai

gham ke saanche mein ik ik nafs dhal gaya un ki mehfil mein ye daur bhi chal gaya
ashk peene se maana ki dil jal gaya zabt-e-gham ki magar aabroo rah gai

tere naqsh-e-qadam bhi mile jaa-b-jaa teri mehfil tira aastaan bhi mila
haan magar tu kisi ko nahin mil saka ho ke naakaam har justuju rah gai

dil mein daaghoon ka jab se hai ik gulistaan chin gai hain bahaaron se rangeeniyaan
ab gulon mein vo pehli si nikhat kahaan aarzi raunaq-e-rang-o-boo rah gai

naaz tha ham ko jin par unhin ki qasam vo bhi ulfat mein nikle na saabit-qadam
be-kasi ke andhere mein ai shaam-e-gham ek ham rah gaye ek tu rah gai

allah allah tire husn ki ik jhalak raushni ho gai az-zameen-ta-falak
ek bijli si lahraai kuchh door tak phir thehar kar mere roo-b-roo rah gai

aankh se aankh aur dil se dil jab mila jaane un ki nigaahon ne kya kar diya
meri aankhon mein us roz se ai saba khinch ke tasveer-e-jaam-o-suboo rah gai

सामने उन को पाया तो हम खो गए आज फिर हसरत-ए-गुफ़्तुगू रह गई
उन से कहना था रूदाद-ए-शाम-ए-अलम दिल की दिल ही में ये आरज़ू रह गई

ग़म के साँचे में इक इक नफ़स ढल गया उन की महफ़िल में ये दौर भी चल गया
अश्क पीने से माना कि दिल जल गया ज़ब्त-ए-ग़म की मगर आबरू रह गई

तेरे नक़्श-ए-क़दम भी मिले जा-ब-जा तेरी महफ़िल तिरा आस्ताँ भी मिला
हाँ मगर तू किसी को नहीं मिल सका हो के नाकाम हर जुस्तुजू रह गई

दिल में दाग़ों का जब से है इक गुलिस्ताँ छिन गई हैं बहारों से रंगीनियाँ
अब गुलों में वो पहली सी निकहत कहाँ आरज़ी रौनक़-ए-रंग-ओ-बू रह गई

नाज़ था हम को जिन पर उन्हीं की क़सम वो भी उल्फ़त में निकले न साबित-क़दम
बे-कसी के अँधेरे में ऐ शाम-ए-ग़म एक हम रह गए एक तू रह गई

अल्लाह अल्लाह तिरे हुस्न की इक झलक रौशनी हो गई अज़-ज़मीं-ता-फ़लक
एक बिजली सी लहराई कुछ दूर तक फिर ठहर कर मिरे रू-ब-रू रह गई

आँख से आँख और दिल से दिल जब मिला जाने उन की निगाहों ने क्या कर दिया
मेरी आँखों में उस रोज़ से ऐ 'सबा' खिंच के तस्वीर-ए-जाम-ओ-सुबू रह गई

  - Saba Afghani

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Afghani

As you were reading Shayari by Saba Afghani

Similar Writers

our suggestion based on Saba Afghani

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari