mausam hara-bhara hai ye manzar bhi dekh le | मौसम हरा-भरा है ये मंज़र भी देख ले

  - Saba Bilgrami

mausam hara-bhara hai ye manzar bhi dekh le
kuchh der taazgi mein sanwar kar bhi dekh le

sach baat kehne ke liye apni zabaan to khol
phir kis taraf se aate hain patthar bhi dekh le

maana ki tishnagi kisi sehra ki den hai
fayyaaz kis qadar hai samundar bhi dekh le

tu ne bala ki dhoop mein kaatee tamaam umr
ab sard shab ki odh ke chadar bhi dekh le

duniya ko tu ne dekha hai khidki se jhaank kar
ik roz apne ghar se nikal kar bhi dekh le

kaanton ka taaj sar pe liye kyun saleeb par
hai aazmaishon mein payambar bhi dekh le

naam-e-'saba hatheli pe apni kabhi saja
taaki zamaana us ka muqaddar bhi dekh le

मौसम हरा-भरा है ये मंज़र भी देख ले
कुछ देर ताज़गी में सँवर कर भी देख ले

सच बात कहने के लिए अपनी ज़बाँ तो खोल
फिर किस तरफ़ से आते हैं पत्थर भी देख ले

माना कि तिश्नगी किसी सहरा की देन है
फ़य्याज़ किस क़दर है समुंदर भी देख ले

तू ने बला की धूप में काटी तमाम उम्र
अब सर्द शब की ओढ़ के चादर भी देख ले

दुनिया को तू ने देखा है खिड़की से झाँक कर
इक रोज़ अपने घर से निकल कर भी देख ले

काँटों का ताज सर पे लिए क्यों सलीब पर
है आज़माइशों में पयम्बर भी देख ले

नाम-ए-'सबा' हथेली पे अपनी कभी सजा
ताकि ज़माना उस का मुक़द्दर भी देख ले

  - Saba Bilgrami

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Bilgrami

As you were reading Shayari by Saba Bilgrami

Similar Writers

our suggestion based on Saba Bilgrami

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari