rukh-e-hayaat nikhrta hai haadsaat ke ba'ad
khushi ki subh bhi aayegi gham ki raat ke ba'ad
bas is khata pe hain mere khilaaf saare log
mera yaqeen khuda par hai apni zaat ke ba'ad
meri taraf nigah-e-mehr yoonhi rahne de
sitam na kar meeri hasti pe iltifaat ke ba'ad
hazaar tarah ke ilzaam denge log tujhe
padenge sab tire chehre ko teri baat ke ba'ad
wafa ke naqsh mitaane se mit nahin sakte
main yaad aaunga tark-e-ta'alluqaat ke ba'ad
saba naseeb mujhe do jahaan ki daulat hai
jahaan-e-dard mila dil ki kaayenaat ke ba'ad
रुख़-ए-हयात निखरता है हादसात के बा'द
ख़ुशी की सुब्ह भी आएगी ग़म की रात के बा'द
बस इस ख़ता पे हैं मेरे ख़िलाफ़ सारे लोग
मिरा यक़ीन ख़ुदा पर है अपनी ज़ात के बा'द
मिरी तरफ़ निगह-ए-महर यूँही रहने दे
सितम न कर मीरी हस्ती पे इल्तिफ़ात के बा'द
हज़ार तरह के इल्ज़ाम देंगे लोग तुझे
पड़ेंगे सब तिरे चेहरे को तेरी बात के बा'द
वफ़ा के नक़्श मिटाने से मिट नहीं सकते
मैं याद आऊँगा तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ात के बा'द
'सबा' नसीब मुझे दो जहाँ की दौलत है
जहान-ए-दर्द मिला दिल की काएनात के बा'द
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Bilgrami
our suggestion based on Saba Bilgrami
As you were reading Jashn Shayari Shayari