is daur ke aaqaon ki aadat nahin badli
ham jaise faqeeron ki bhi fitrat nahin badli
masjid bhi gaye aur shivaala bhi gaye ham
is dil ne magar teri ibadat nahin badli
tadbeer se taqdeer ne paai hai bulandi
haathon ki lakeeron se to qismat nahin badli
sadiyon se use dekh raha hai ye zamaana
kya baat hai aaine ki soorat nahin badli
mele mein kahi kho gaye hain phool se bacche
lekin abhi maa-baap ki rangat nahin badli
इस दौर के आक़ाओं की आदत नहीं बदली
हम जैसे फ़क़ीरों की भी फ़ितरत नहीं बदली
मस्जिद भी गए और शिवाला भी गए हम
इस दिल ने मगर तेरी इबादत नहीं बदली
तदबीर से तक़दीर ने पाई है बुलंदी
हाथों की लकीरों से तो क़िस्मत नहीं बदली
सदियों से उसे देख रहा है ये ज़माना
क्या बात है आईने की सूरत नहीं बदली
मेले में कहीं खो गए हैं फूल से बच्चे
लेकिन अभी माँ-बाप की रंगत नहीं बदली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Bilgrami
our suggestion based on Saba Bilgrami
As you were reading Aadat Shayari Shayari