qalam ko is liye talwaar karna | क़लम को इस लिए तलवार करना

  - Sabiha Saba

qalam ko is liye talwaar karna
ki badh ke zulm par hai vaar karna

mili hai zindagi to ham ne socha
hamein kaisa yahan kirdaar karna

bhala pehle hi patthar kyun bichhaaye
agar tha raasta hamvaar karna

jahaan par maa ko gahri neend aayi
usi mitti ka hai deedaar karna

saba hai aazmaish ka tasalsul
ki daryaon pe dariya paar karna

क़लम को इस लिए तलवार करना
कि बढ़ के ज़ुल्म पर है वार करना

मिली है ज़िंदगी तो हम ने सोचा
हमें कैसा यहाँ किरदार करना

भला पहले ही पत्थर क्यूँ बिछाए
अगर था रास्ता हमवार करना

जहाँ पर माँ को गहरी नींद आई
उसी मिट्टी का है दीदार करना

'सबा' है आज़माइश का तसलसुल
कि दरियाओं पे दरिया पार करना

  - Sabiha Saba

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Saba

As you were reading Shayari by Sabiha Saba

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Saba

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari