baithi hoon intizaar mein banthan ke saamne | बैठी हूँ इन्तिज़ार में बनठन के सामने - Safar

baithi hoon intizaar mein banthan ke saamne
aayenge sajna abhi aangan ke saamne

saaya banaaun hoon main takhyyul mein yaar ka
parchhaai raqs karti hai dhadkan ke saamne

meri badi hai pyaas bataaoongi bhook ko
rooongi phoot phoot ke saukan ke saamne

leke phiroon hoon yaar ki soorat gali gali
mohan hi aa gaye mere mohan ke saamne

paazeb choodiyan mere kis kaam ki raheen
nange badan hi jaana hai saajan ke saamne

apne akeleypan ka karoon hoon main yun ilaaj
darpan hai peeche aur main darpan ke saamne

milti nahin hoon pee se isee vaaste balam
jaati nahin hai raand suhaagan ke saamne

बैठी हूँ इन्तिज़ार में बनठन के सामने
आएंगे साजना अभी आँगन के सामने

साया बनाऊँ हूँ मैं तख़य्युल में यार का
परछाई रक़्स करती है धड़कन के सामने

मेरी बड़ी है प्यास बताऊँगी भूक को
रोऊँगी फूट फूट के सौकन के सामने

लेके फिरूँ हूँ यार की सूरत गली गली
मोहन ही आ गए मेरे मोहन के सामने

पाज़ेब चूड़ियाँ मेरे किस काम की रहीं
नंगे बदन ही जाना है साजन के सामने

अपने अकेलेपन का करूँ हूँ मैं यूँ इलाज
दर्पन है पीछे और मैं दर्पन के सामने

मिलती नहीं हूँ पी से इसी वास्ते बलम
जाती नहीं है रांड सुहागन के सामने

- Safar
2 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Safar

As you were reading Shayari by Safar

Similar Writers

our suggestion based on Safar

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari