phir wafaadaari ko nibhaana kyun | फिर वफ़ादारी को निभाना क्यों

  - Sahir banarasi

phir wafaadaari ko nibhaana kyun
door jaakar ye paas aana kyun

faaslon ka ye haq ada kar ke
paas aane ka phir bahaana kyun

ab shikaayat karein bhi kyun tumse
itna bhi pyaar ko jataana kyun

behaya dono hi yahan pe hain
hamse nazon ka phir churaana kyun

jaam ka haq ada na kar paaye
aise ko jaam ab pilaana kyun

lagta hai bahra ye khuda hamko
zor se phir use bulaana kyun

saath tanhaai jab hai tere to
khud ko phir tanhaa ab bataana kyun

khaamoshi se gale milen ham ab
shor ab itna bhi machaana kyun

roz saahir ko yaad karti ho
phir se hamko hi ab fasaana kyun

फिर वफ़ादारी को निभाना क्यों
दूर जाकर ये पास आना क्यों

फ़ासलों का ये हक़ अदा कर के
पास आने का फिर बहाना क्यों

अब शिकायत करें भी क्यों तुमसे
इतना भी प्यार को जताना क्यों

बेहया दोनों ही यहाँ पे हैं
हमसे नज़रों का फिर चुराना क्यों

जाम का हक़ अदा न कर पाए
ऐसे को जाम अब पिलाना क्यों

लगता है बहरा ये ख़ुदा हमको
ज़ोर से फिर उसे बुलाना क्यों

साथ तन्हाई जब है तेरे तो
ख़ुद को फिर तन्हा अब बताना क्यों

ख़ामुशी से गले मिलें हम अब
शोर अब इतना भी मचाना क्यों

रोज़ 'साहिर' को याद करती हो
फिर से हमको ही अब फ़साना क्यों

  - Sahir banarasi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir banarasi

As you were reading Shayari by Sahir banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir banarasi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari