ham shoreeda kadve talkh kaseele zaa'iqe | हम शोरीदा कड़वे तल्ख़ कसीले ज़ाइक़े

  - Tabassum Kashmiri

ham shoreeda kadve talkh kaseele zaa'iqe
raat ki pur-shahvat aankhon se tapke taaza qatre
shaam ke kaale siyaah maathe ki nangi makhrooti khaaarish
dopahron ke jalte gosht ki tez bisaand
raat ki kaali raan se bahta andha laava
khaleej ki gehraai se baahar aata
qadam qadam par khauf tabaahi dahshat paida karta
bikhar raha hai
raaton ki sayyaal malaamat apni lambi zulf bikhere
kadve mausam ke jashno mein naach rahi hai
kadve talkh kaseele zaaiqon ke in jashno mein
gardan tak main pighal gaya hoon
maathe par in shoreeda jashno ki mohrein sabt hui hain
kadve zaa'iqe jonke ban kar taaloo se ab chimat gaye hain
tez aur tund tezaabi suraj
haapte aur karaahte sard makaanon ki mutawarrim cheekhen
mutawarrim saanson mein surkh tashaddud ki cheekhen
mere kaan mein surkh tashaddud ki cheekh'on ki
chhaavaniyaan aabaad hui hain
ham shoreeda kadve talkh kaseele zaa'iqe
nau-zaaida shehron ke munh pe
qatra qatra tapak rahe hain

हम शोरीदा कड़वे तल्ख़ कसीले ज़ाइक़े
रात की पुर-शहवत आँखों से टपके ताज़ा क़तरे
शाम के काले सियाह माथे की नंगी मख़रूती ख़ारिश
दोपहरों के जलते गोश्त की तेज़ बिसांद
रात की काली रान से बहता अंधा लावा
ख़लीज की गहराई से बाहर आता
क़दम क़दम पर ख़ौफ़ तबाही दहशत पैदा करता
बिखर रहा है
रातों की सय्याल मलामत अपनी लम्बी ज़ुल्फ़ बिखेरे
कड़वे मौसम के जश्नों में नाच रही है
कड़वे तल्ख़ कसीले ज़ाइक़ों के इन जश्नों में
गर्दन तक मैं पिघल गया हूँ
माथे पर इन शोरीदा जश्नों की मोहरें सब्त हुई हैं
कड़वे ज़ाइक़े जोंकें बन कर तालू से अब चिमट गए हैं
तेज़ और तुंद तेज़ाबी सूरज
हाँपते और कराहते सर्द मकानों की मुतवर्रिम चीख़ें
मुतवर्रिम साँसों में सुर्ख़ तशद्दुद की चीख़ें
मेरे कान में सुर्ख़ तशद्दुद की चीख़ों की
छावनियाँ आबाद हुई हैं
हम शोरीदा कड़वे तल्ख़ कसीले ज़ाइक़े
नौ-ज़ाइदा शहरों के मुँह पे
क़तरा क़तरा टपक रहे हैं

  - Tabassum Kashmiri

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari