ye jo tum dekh rahe ho khas-o-khaashaak pe khaak | ये जो तुम देख रहे हो ख़स-ओ-ख़ाशाक पे ख़ाक

  - Tabassum Siddiqui

ye jo tum dekh rahe ho khas-o-khaashaak pe khaak
is se badh kar hai meri khwaahish-e-sad-chaak pe khaak

gar koi khwaab nahin hai meri aankhon mein to phir
mere samaan pe hasrat meri imlaak pe khaak

main ne udne hi nahin di hai rah-e-ishq mein gard
main ne padne hi nahin di tiri poshaak pe khaak

nisbat-e-khaak pe sharmindagi kyun ho mujh ko
dastaken deti hai ja kar dar-e-laulaak pe khaak

ye jo takhsees-e-zan-o-mard hai ye vaham hai bas
tum mujhe dekhna jab pahunchen meri chaak pe khaak

ye jo hai aadmi ka azm-e-safar is ke tufail
nazar aayegi kisi din rah-e-aflaak pe khaak

yun bhi tum kya ho faqat khaak tabassum bibi
aur phir baithni hai aa ke kal is khaak pe khaak

ये जो तुम देख रहे हो ख़स-ओ-ख़ाशाक पे ख़ाक
इस से बढ़ कर है मिरी ख़्वाहिश-ए-सद-चाक पे ख़ाक

गर कोई ख़्वाब नहीं है मिरी आँखों में तो फिर
मेरे सामान पे हसरत मिरी इम्लाक पे ख़ाक

मैं ने उड़ने ही नहीं दी है रह-ए-इश्क़ में गर्द
मैं ने पड़ने ही नहीं दी तिरी पोशाक पे ख़ाक

निस्बत-ए-ख़ाक पे शर्मिंदगी क्यों हो मुझ को
दस्तकें देती है जा कर दर-ए-लौलाक पे ख़ाक

ये जो तख़सीस-ए-ज़न-ओ-मर्द है ये वहम है बस
तुम मुझे देखना जब पहुँचे मिरी चाक पे ख़ाक

ये जो है आदमी का अज़्म-ए-सफ़र इस के तुफ़ैल
नज़र आएगी किसी दिन रह-ए-अफ़्लाक पे ख़ाक

यूँ भी तुम क्या हो फ़क़त ख़ाक 'तबस्सुम' बीबी
और फिर बैठनी है आ के कल इस ख़ाक पे ख़ाक

  - Tabassum Siddiqui

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tabassum Siddiqui

As you were reading Shayari by Tabassum Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari