hama-tan gosh ik zamaana tha
mere lab par tira fasana tha
kaash dil hi zara thehar jaata
gardishon mein agar zamaana tha
ham the aur e'timaad-e-fasl-e-bahaar
shaakh shaakh apna aashiyana tha
vo bahaarein bhi ham pe guzri hain
jab qafas tha na aashiyana tha
dil ki ummeedwaariyaan na gaeein
us karam ka koi thikaana tha
subh se pehle bujh gaya taabish
ek dil hi charaagh-e-khaana tha
हमा-तन गोश इक ज़माना था
मेरे लब पर तिरा फ़साना था
काश दिल ही ज़रा ठहर जाता
गर्दिशों में अगर ज़माना था
हम थे और ए'तिमाद-ए-फ़स्ल-ए-बहार
शाख़ शाख़ अपना आशियाना था
वो बहारें भी हम पे गुज़री हैं
जब क़फ़स था न आशियाना था
दिल की उम्मीदवारियाँ न गईं
उस करम का कोई ठिकाना था
सुब्ह से पहले बुझ गया 'ताबिश'
एक दिल ही चराग़-ए-ख़ाना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi
our suggestion based on Tabish Dehlvi
As you were reading Romantic Shayari Shayari