sab ne mujh hi ko dar-b-dar dekha
be-ghari ne mera hi ghar dekha
band aankhon se dekh li duniya
ham ne kya kuchh na dekh kar dekha
kahi mauj numoo ruki to nahin
shaakh se phool tod kar dekha
khud bhi tasveer ban gai nazrein
ek soorat ko is qadar dekha
ham ne us ne hazaar sheva ko
kitni nazaron se ik nazar dekha
ab numoo paayenge dilon ke zakham
ham ne ik phool shaakh par dekha
सब ने मुझ ही को दर-ब-दर देखा
बे-घरी ने मिरा ही घर देखा
बंद आँखों से देख ली दुनिया
हम ने क्या कुछ न देख कर देखा
कहीं मौज नुमू रुकी तो नहीं
शाख़ से फूल तोड़ कर देखा
ख़ुद भी तस्वीर बन गई नज़रें
एक सूरत को इस क़दर देखा
हम ने उस ने हज़ार शेवा को
कितनी नज़रों से इक नज़र देखा
अब नुमू पाएँगे दिलों के ज़ख़्म
हम ने इक फूल शाख़ पर देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi
our suggestion based on Tabish Dehlvi
As you were reading Chehra Shayari Shayari