manzilon ko nazar mein rakha hai
jab qadam raahguzaar mein rakha hai
ik hayoola hai ghar kharaabi ka
warna kya khaak ghar mein rakha hai
ham ne husn-e-hazaar-sheva ko
jalwa jalwa nazar mein rakha hai
chahiye sirf himmat-e-parvaaz
baagh to baal-o-par mein rakha hai
haram-o-dair se alag ham ne
abhi ik sajda sar mein rakha hai
meri himmat ne apni manzil ka
fasla raahguzaar mein rakha hai
raat din dhoop chaanv ka aalam
kya tamasha nazar mein rakha hai
मंज़िलों को नज़र में रक्खा है
जब क़दम रहगुज़र में रक्खा है
इक हयूला है घर ख़राबी का!
वर्ना क्या ख़ाक घर में रक्खा है
हम ने हुस्न-ए-हज़ार-शेवा को
जल्वा जल्वा नज़र में रक्खा है
चाहिए सिर्फ़ हिम्मत-ए-परवाज़
बाग़ तो बाल-ओ-पर में रक्खा है
हरम-ओ-दैर से अलग हम ने
अभी इक सज्दा सर में रक्खा है
मेरी हिम्मत ने अपनी मंज़िल का
फ़ासला रहगुज़र में रक्खा है
रात दिन धूप छाँव का आलम
क्या तमाशा नज़र में रक्खा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi
our suggestion based on Tabish Dehlvi
As you were reading Duniya Shayari Shayari