dhoomen machaayein sabza raunden phoolon ko paamaal karein | धूमें मचाएँ सब्ज़ा रौंदें फूलों को पामाल करें

  - Tabish Dehlvi

dhoomen machaayein sabza raunden phoolon ko paamaal karein
josh-e-junoon ka ye aalam hai ab kya apna haal karein

dast-e-jaan mein ek khushi ki lehar kahaan tak daudegi
vasl ke ik ik lamhe ko ham kyun kar maah o saal karein

jaan se badh kar dil hai pyaara dil se ziyaada jaan aziz
dard-e-mohabbat ka ik tohfa kis kis ko irsaal karein

nang-e-karam hai soz-e-alam se ahl-e-dil ki mehroomi
dard-e-ishq mataa-e-jaan hai saahib kuchh to khayal karein

mausam badle phir bhi hai aashob-e-visaal-o-hijr wahi
haal zamaane ka jab ye ho kya maazi kya haal karein

rooh ki ek ik chot ubhaaren dil ka ek ik zakham dikhaayein
ham se ho to numayaan kya kya apne khadd-o-khaal karein

qarz bhala kya dega koi bheek bhi milni mushkil hai
nadaaron ki is basti mein kis se ja ke sawaal karein

har ik dard ko apna jaanen har ik gham ko apnaayein
khwaah kisi ki daulat-e-gham ho dil ko maalaamaal karein

be-hunri ko hunar kare ye ahl-e-hunr ka dushman hai
charkh-e-kaj-raftaar hai aakhir taabish ham bhi khayal karein

धूमें मचाएँ सब्ज़ा रौंदें फूलों को पामाल करें
जोश-ए-जुनूँ का ये आलम है अब क्या अपना हाल करें

दश्त-ए-जाँ में एक ख़ुशी की लहर कहाँ तक दौड़ेगी
वस्ल के इक इक लम्हे को हम क्यूँ कर माह ओ साल करें

जान से बढ़ कर दिल है प्यारा दिल से ज़ियादा जान अज़ीज़
दर्द-ए-मोहब्बत का इक तोहफ़ा किस किस को इरसाल करें

नंग-ए-करम है सोज़-ए-अलम से अहल-ए-दिल की महरूमी
दर्द-ए-इश्क़ मता-ए-जाँ है साहिब कुछ तो ख़याल करें

मौसम बदले फिर भी है आशोब-ए-विसाल-ओ-हिज्र वही
हाल ज़माने का जब ये हो क्या माज़ी क्या हाल करें

रूह की एक इक चोट उभारें दिल का एक इक ज़ख़्म दिखाएँ
हम से हो तो नुमायाँ क्या क्या अपने ख़द्द-ओ-ख़ाल करें

क़र्ज़ भला क्या देगा कोई भीक भी मिलनी मुश्किल है
नादारों की इस बस्ती में किस से जा के सवाल करें

हर इक दर्द को अपना जानें हर इक ग़म को अपनाएँ
ख़्वाह किसी की दौलत-ए-ग़म हो दिल को मालामाल करें

बे-हुनरी को हुनर करे ये अहल-ए-हुनर का दुश्मन है
चर्ख़-ए-कज-रफ़तार है आख़िर 'ताबिश' हम भी ख़याल करें

  - Tabish Dehlvi

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tabish Dehlvi

As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Tabish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari