band-e-gham mushkil se mushkil-tar khula | बंद-ए-ग़म मुश्किल से मुश्किल-तर खुला

  - Tabish Dehlvi

band-e-gham mushkil se mushkil-tar khula
ham se jab koi pari-paikar khula

mil gai wahshi ko sauda se najaat
dar khula deewaar mein ya sar khula

jaan-sitaani ke naye andaaz hain
haath mein ghamze ke hai khanjar khula

meri vehshat ne nikale jab se paanv
ek sehra sahan ke andar khula

dekhne mein vo nigaah-e-lutf thi
kis se poochen zakhm-e-dil kyunkar khula

koi jaada hai na manzil hai koi
sab fareb-e-raahi-o-rahbar khula

hai qayamat us ki mizgaan ka khayal
rakh diya hai dil mein ik nashtar khula

ye zulekhaai ki yusuf ke liye
misr ka bazaar hai ghar ghar khula

nau-umeedi se bandhi taabish umeed
abr-e-gham dil par bahut ghir kar khula

बंद-ए-ग़म मुश्किल से मुश्किल-तर खुला
हम से जब कोई परी-पैकर खुला

मिल गई वहशी को सौदा से नजात
दर खुला दीवार में या सर खुला

जाँ-सितानी के नए अंदाज़ हैं
हाथ में ग़म्ज़े के है ख़ंजर खुला

मेरी वहशत ने निकाले जब से पाँव
एक सहरा सहन के अंदर खुला

देखने में वो निगाह-ए-लुत्फ़ थी
किस से पूछें ज़ख़्म-ए-दिल क्यूँकर खुला

कोई जादा है न मंज़िल है कोई
सब फ़रेब-ए-राही-ओ-रहबर खुला

है क़यामत उस की मिज़्गाँ का ख़याल
रख दिया है दिल में इक नश्तर खुला

ये ज़ुलेख़ाई! कि यूसुफ़ के लिए
मिस्र का बाज़ार है घर घर खुला

नौ-उमीदी से बंधी 'ताबिश' उमीद
अब्र-ए-ग़म दिल पर बहुत घिर कर खुला

  - Tabish Dehlvi

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tabish Dehlvi

As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Tabish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari